Thursday, June 8, 2023
HomeKids Stories/KahaniyaCinderella ki kahani in Hindi - सिंड्रेला की कहानी | Disney Cinderella...

Cinderella ki kahani in Hindi – सिंड्रेला की कहानी | Disney Cinderella Story in Hindi c

Cinderella story ye story shayad hi kisi bache ne na suni ho. Sabhi bacho ko kahaniya sunna bahut pasand hota hai and pariyo ki kahani (fairy tale), Rajkumari (princess) ki kahani to unki favorite hoti hai. Aaj kal ke bacho ko bhi ye story utni hi pasand aygi jitni hamare time me hum logo ko aya karti thi. Aaj is blog me hum aapke bacho ke liye princess Cinderella ki story laye hai. Jo apke bacho ko bahut pasand aygi.

Disney Cinderella Ki Kahani – How it starts?

Bahut time phle ek shehair (शहर) me cinderella naam ki ladki rehti thi. Wo bahut beautiful thi aur uska nature bahut achha tha. Cinderella sabhi se bahut pyaar se baat kiya karti thi, aur dusro se bhi bahut pyar karti thi. सिंड्रेला animals, birds ko bhi bahut pyaar karti thi aur har roz unhe khane ki alag alag chize deti thi. Wo ek aisi ladki thi jisme sabhi acchi habits thi. Ye kahani sunkar aap ke bache bhi achi aadte apnane lagenge aur Cinderella ki story se unhe bhi acha lesson milega.

Cinderella jab bahut choti thi tabhi uski mother “MAA” ki death ho gyi thi. Wo bachpan se hi apne papa ke sath raha karti thi. Uske Papa bahut ache the, aur cinderella ka bahut care karte the aur use bahut pyaar karte the. Unhone kabhi use apni maa ki kami nahi feel hone di. Kuch time bad cinderella ke Father ne dusri shaddi karli.  Uske papa ki dusri shaddi ke bad cinderella ki life me kuch change ayaa aur uski sari khushiya dhukh me badal gayi.

Uske papa ki dusri shaadi ke bad uski do step sisters bhi unhi ke ghar me rehne lagi.

Cinderella Step Mother and Step Sisters Role in Cinderella Story-

Cinderella ki life bahut achi chal rhi thi, uske papa uska bahut dhyan rakhte the. Par dusri shaddi ke bad sab uch badal gaya. Uski step mother and step sisters use pasand nahi karte the aur use har baat me jealous feel karte the. Ek din Cinderella birds ko khana khila rahi thi to uski step mother ne use kaha aaj se tum us storeroom me rhogi aur pure ghar ka kaam karogi.

Kuki cinderella bahut acchi thi usne kuch bhi nahi kaha aur storeroom me jakar rehne lagi. Wo ghar ka sara kaam bhi karti thi. Vo pura din ghar ka kaam kiya karti thi aur uski step sisters humesha use tang kiya karte the.

Cinderella a princess –

Par Cinderella to princess (Rajkumari) ka jeevan jine ke liye hi paida hui thi. Ek din kuch aisa hua ki pure shehair me announcement hui ki Rajmehal me kuch bada function hai aur isme Prince charming “Rajkumar” apne liye Rajkumari  (princess) pasand karenge.

Yeh khabar bahut badi thi aur ise sunkar शहर  ki sari ladkiya bahut khush hui. Sab ne socha wo log is function me jarur participate karenge. Sabhi ladkiyo ne apni apni tyari shuru kar di aur apne liye new clothes, new shoes, aur makeup ka saman lene me lag gyi. Wahi Cinderella ki step sisters bhi yeh khabar sunkar bahut khush thi. Unhone ghar aakar apni maa ko ye baat batayi. To unki maa ne khushi se kaha “Rajkumari” to tum dono me se hi koi banegi.

Uske baad unki maa apni dono betiyo (daughters) ke liye dresses or gown lene chali gayi. Ye baat sunkar cinderella bahut udaas thi. Wo bhi us party me jana chahti thi, wo bhi rajkumar (Prince) se milna chahti thi. Usne apni maa se kaha ki Rajkumar ne शहर  ki sabhi ladkiyo ko bulaya hai. To uski maa aur dono behan yeh baat sunkar hasne lagi. Uski maa ne use kaha ki waha tumhari koi jagah nahi hai tum bad ghar par rahi aur ghar ke kaam karo. 

Cinderella udasi se storeroom me chali gyi. Kuch time baad jab cinderella ki behno ka gown tyar ho gaya to unhone cinderella ko awaz lagai aur kaha tum hume party ke liye tyar kar do. Waise hi tum kuch kaam nahi karti aao aaj thora kaam karo. Aisa kah kar dono behne cinderella ko tang kar rahi thi.

Usne apni dono behno ko tyar kiya aur uski maa ne use jane se pehle kaha ki raat tak pure ghar ki safai kar de. Cinderella bahut udas thi aur ro rahi thi. Par Cinderella ki kahani to yaha se shuru hui thi, kuch aisa hone wala tha jo cinderella ne socha bhi nahi tha. 

Pari Comes in Disney Cinderella Story-

Cinderella bahut ro rahi thi aur keh rahi thi kash mere Mata aur pita yaha hote to uske saath kabhi aisa nahi hota.  Achanak se uske samne ek “Pari” aati hai. Pari ko dekh kar cinderella dar gayi. Pari ne cinderella se kaha tum chinta mat karo aur tum preshan mat ho. Tum bhi us party ka hissa ban paogi mai isme tumhari help karungi. Yeh baat sunkar vo bahut khush ho gayi. Yeh sab cinderella ke liye pariyo ki kahani se kam nahi tha.

Cinderella ne pari se kaha par party par jane ke liye mere pass koi sundar gown or shoes bhi nahi hai. Ye sunkar pari ne kaha tum uski chinta mat karo mai sab kar dungi. Pari ne cinderella se ek kaddu aur uske 7 mouse (chuhe) dosto ko lane ke liye kaha. 

Pari ne pehle to kaddu par apni magic stick ghumayi aur kaddu ko ek “baggi”  (vehicle) me badal diya. Phir usne 7 chuho par magic stick ghumayi aur unme se 6 mouse ko white color ke horses me badal diya aur ek ko driver bna diya. Phr pari ne cinderella par apni magic stick ghumayi aur use sundar sa tyar kiya. Cinderella sach me bahut sundar lag rhi thi. Vo party me gayi, aur jaise hi vo us party me pauchi sabhi ki nazar cinderella par thi. Uski step sisters bhi use dekh rahi thi par koi use pehchan nahi paya kuki cinderella itni sundar lag rahi thi. Yaha se Cinderella ki kahani badlne wali thi, uski zindgi me kuch achaa hone wala tha.

Itne me “Rajkumar” Prince stairs se aaye aur unki nazar Cinderella par padi. Yaha se Cinderella ki story badalne wali thi, cinderella ki kahani me ek aisa badlaw aane wala tha jo usne kabhi socha bhi nahi tha. Rajkumar uski taraf aaye aur use bahut pyar se pucha “hey sundar ladki kya tum mere sath dance karogi”. Cinderella ne haa me sar hilaya aur wo dono dance karne lage. Cinderella ghadi (watch) ki taraf dekh rahi thi, kuki pari ka jaadu sirf raat ke 12 baje tak hi rehne wala tha. Jaise hi 12 bajne wale the Cinderella bina kuch bole mehal se nikal gyi aur bhagne lagi. Bhagte hue uske ek shoes stairs pe gir gaya. Aur jese hi veh bahar pauchi sab kuch pehle jaisa ho gaya tha. Wo apne ghar pauchi aur use Rajkumar ki bate yaad aa rhi thi wo kahi na kahi Rajkumar “prince” ko bhaut pasand karne lagi thi aur unhi ke bare me soch rahi thi.

Cinderella Became a Princess –

Rajkumar bhi us ladki ko dhundhna chahte the. Rajkumar ko staris par cinderella ka shoes mila. Unhone order diya ki sher ki sari ladkiyo ko ye shoes pehna kar dekha jaye aur jiske pairo me ye fit aagya wahi asli rajkumari (princess) hai.

Unke sainik pure शहर ki ladkiyo ko shoe pehna kar dekh rahe the. Wo log cinderella ke ghar pauche, par cinderella ki step mother ne use storeroom me hi band kar diya. Un logo ne uski behan ke feet me shoes try kiya. But ek behan ke per (feet) me shoes tight tha aur ek behan ke per me loose. Cinderella bhi shows try karna chahti thi. Uske dost chuho (mouse) ne uski madad ki aur storeroom ka gate khola.

Rajkumar (prine) ke sainik jane hi wale ki itne me cinderella bhagti hui ayii aur un logo se kaha mai bhi ye shoe try karna chahti hu. Ye baat sunkar uski maa aur behne hasne lagi. To sanik ne kaha hasiye mat Maharaj ne sabhi ladkiyo ko ye shoes pehnane ke liye bola hai. Wo log cinderella ke per me bhi shoe try karte hai aur veh shoes uske per me fit aa jata hai. Ye dekh kar uski step sisters ko shock lagta hai.

Wo log Cinderella se puchte hai hey sundar ladki kya ye shoe aap ka hai. Cinderella haa me apna sar hilati hai. Aur wo log use apne sath Mehal (महल) me chalne ko kahte hai. Mehal (महल) me jate hi jab veh rajkumar se milti hai to rajkumar uski ankho me dekh kar samjh jate hai ki maine isi ladki ke sath dance kiya tha. Is tarah Cinderella ki kahani badalti hai aur uski life badal jati hai.

Rajkumar Cinderella se milte hai aur is tarah se cinderella Rajkumar ki Rajkumari banti hai. 

Moral of the Cinderella story- Jo log kabhi kisi ka bura nahi karte unke saath kabhi kuch bura nahi hota.

जो लोग कभी किसी का बुरा नहीं करते उनके साथ कभी कुछ बुरा नहीं होता.

Conclusion

Ye thi aap ke bacho ke liye cinderella ki story, asha hai ki ye story aap ke bacho ko jaruru pasand aygi. Isi tarah se hum aapke liye har roz alag alag kahaniya layenge jaise bhoot ki kahaniya, pariyo ki kahaniya, aur bhi bahut kuch.

RELATED ARTICLES

Most Popular

Recent Comments