Aj kal ke bacho ko Bhoot ki Kahaniya (भूत वाली कहानी) bahut achi lagti hai. Bacho ko samjhana, unhe sambhalna bahut mushkil hai aise me kahaniya bacho ko shant karne me helpful hoti hai.Bacho ko alag-alag kahaniya sunna bahut pasand hota hai jaise “Pariyo ki Kahani” (परियों की कहानियां) “Gudiya ki Kahani” (गुड़िया की कहानी ) “Bhootiya Kahani, Bhoot ki Kahani” (कहानियां भूत वाली). Ghost story for kids me bacho ke liye kai tarah ki kahaniya ati hai jaise Bhutni ka ghar, Bhutiya Sadak.
To aaj hum iss blog me apko kuch romanchak “Bhootiya Kahani ” Bataynge jo apne bacho ko suna sakte hai, jo unko bhaut achi lgengi aur ab ye kahani suna kar apne bacho ke man se Bhoot ka dar bhi nikal sakte hai.
Bhoot Ki Kahaniya-
1. Andhere ke Bhook ki Kahani- Bhootiya Ped
Jodhpur Naam ka ek village (गाँव) hua karta tha, jaha bhaut sare kisaan (Farmers) rehte the. Usi village me jungalo ke bich ek pipal ka ped tha jaha ek bhoot rehta tha. Bhoot har rat ko sabhi logo ko preshan karta tha. Pure village me ghum kar wo sabhi ko harm karta tha. Bhoot (भूत) se sabhi log bahut dare hue rehte the and shaam hote hi pure village me shanti ho jati thi.
In sabhi bato se preshan hokar logo ne ek pandit ko bulaya, aur sabhi log sadhu ko lekar us tree (ped) ke pass gaye. Pandit bahut koshish karta hai but bhoot par kaabu (काबू) nahi kar paya. Last ne Sadhu ne solution nikala and sabhi ko kaha Bhoot sirf andhere me nikalta hai iska matlab use roshni (lights) se dar lagta hai. Aur, lights or roshni ke sahare hi bhoot par kabu paya ja sakta hai. Ye story himmat bhi deti hai ladne ki phir bhi yeh koi bhootiya sapne ya bhook ki kahani se kam nahi tha.
Ye baat sun kar sabhi log ek yojna (plan) banate hai aur raat ko jab bhoot ped se nikal kar village me atta hai tab sabhi log mashaal (Lamp) jala lete hai. Roshni ko dekh kar bhoot dar jata hai aur village ke log bhoot ka ped ke sath hi Jala dete hai or unki pareshani hal ho jati hai. Ye thi ek majedar bhoot ki kahani asha hai apko pasand aayi hogi.
Moral of the story: Problem chahe kaisi bhi ku na ho, agar dimag se kam liya jaye to har problem set solution mil sakta hai.
समस्या चाहे कैसी भी हो, हमें हमेशा सोच समझकर ही सोचना चाहिए। और हमें डरने के बजाय समस्या से लड़ना चाहिए।
2. Raste ka Bhoot Story (भूत की कहानी: रास्ते का भूत)
Harish Naam ka ek ladka tha, wo kisi badi factory me safai ka kaam kiya karta tha. Uske ghar se factory kuch kilometer dur thi. Wo daily apni cycle se hi factory jata tha. Ek subhe (morning) me wo ghar se factory ke liye nikla. Use raste me ek ladki dikhi jo kisi choraha (चौराहा) pe khadi thi. Usne ladki ko dekha jo usse gusse me dekh rahi thi aur factory ki taraf chala gya.
Agle din bhi subhe wo ladki wahi khadi thi or harish ko gusse me dekh rahi thi. Par harish apne kaam par chala gya. Kuch dino tak aisa hi chala aur kuch din bad jab harish factory ja raha tha to use wo ladki waha nahi dikhi. To harish ke man me bhi swal ayaa ki ladki yaha ku nahi hai use kya hua hoga.
Harish ne socha ki use to kuch puch bhi nahi paya kabhi kuki wo hmesha Harish ko gusse me dekhti thi. Ye sab sochte hue Harish factory gya. Wo ladki kuch dino tak waha nahi dikhi, par 7th din jab Harish factory se ghar paucha to waha use ek chitthi (Letter) mila, jisme likha tha mera nam Priti hai kal shaam mai tumhe usi jagah par milungi mera intzaar karna. Usi chiithi ke sath ek photo bhi thi jo us ladki se milti thi.
Ladke ne socha ki use mere ghar ka address kha se mila, aur chitthi mere bed par kaise aayi. Agli subhe wo phr factory gya or shaam ko ghar ate time use chitthi ki baat yaad aayi, aur wo us ladki ka intezar karne lga. Bahut der tak usne intezar kiya aur thak kar vo apne ghar chala gya.
Ghar jake usne us chitthi par likha hua address dekha or aur agli subhe us ladki se milne use address par paucha. Subhe hote hi Harish us jagah par paucha, waha jakar usne ghar ki belll bajayi or ek admi bhar aya jise Harish ne kaha mujhe Priti se milna hai. Ye baat sunkar us aadmi ke hosh uad gye, aur usne bataya ki Priti ko mare hue 2 mahine se jayada ho gye hai. Tumhe ab use ku milna tha?
Ye bat sunkar Harish ke hosh uad gye or wo dar ke mare kapne lga aur ye sab sun kar use aisa laga jaise usne koi bhoot ki kahani sun li ho. Kisi tarah vo dar kr ghar paucha or usne us chitthi (Letter) ko jala diya. Uske man me kai sare swal uthe aur wo sochne lga ki jo use daily dikhti thi wo ek Bhoot thi. Yahi soch kar vo dar dar ke soya.
Moral of the Story: Do not think about an unknown person and don’t visit a person home without knowing them.
किसी अनजान व्यक्ति के बारे में न सोचें और किसी व्यक्ति को जाने बिना उसके घर न जाएं।
Conclusion:
Ye thi kuch majedaar bhoot ki kahaniya jo apke bacho ko bahut pasand ayngi. Apke bacho ke lie hum har roz pariyo ki kahaniya, gudiya ki kahani aur bhi bahut sari kahaniya hum publish karte rhenge.
Enjoy interesting stories!
Also Read: Sapno ka matlab kya hota hai?